Wednesday, September 14, 2005

Tanha

Ye dil aaj itna tanha kyun hai
kisi ko chah kar bhi akala kyun hai
shayad unko es chahat ka ehsas nahi
mere dil ke dariya ki unhe pyaas nahi
koi kisi ko pyaar mein majboor nahi kar sakta
pyaar ka ehsaas, dard to toota dil hi samajh sakta hain
duniya mein hamesha dil kyun toot te hain
pyaar karne wale aapas mein kyun roothte hain
roothe huin log ek doosre ko kyun tadpate hain
chooti si zindagi mein kyun rulate hain

Es tanha zindagi mein jab bhi koi saathi aata hain
kuch pal ke liye zindagi ho jaati hain haseen
un sapno, khawabo mein ho jaata hun main leen
kintu yeh khawab kuch pal ke mehmaan hote hain
pehle koore khwabo ko rangeen sapno se saajate hain
phir unhi khawabo ko sheeshe ki tarah tod jaata hain
kab tak aisi zindagi jeeta rahonga mai
unhi toote hua khawabo ko seeta rahonga mai
jabki mere dil ko yeh yakeen hain wo khawab nahi the mere
jisme sajaye the maine wo sapne sunahare

---Tanha Dil

No comments: