Thursday, August 25, 2005

Kuch Masti..... Kuch Dard.......Tanha Dil Se

Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
toh hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai,
toh hum behosh ho gaye...

************************************************************
Hawa me bindaas ud raha tha Gaalib
hawa me betaab ud raha tha Gaalib
hawa me aajaad ud raha tha Gaalib
Phir
Phir Kya......
RUK GAYEE HAWA,GIR GAYA GAALIB .......

************************************************************
TUHAAR CHEHRA MOTI SAMAAN,
TUHAAR CHEHRA MOTI SAMAAN,
TUHAAR CHEHRA MOTI SAMAAN,
MOTI HAMAAR KUTTE KA NAAM! .......

************************************************************
kabhi kisi ko muquamal jahan nahi milta.....
kahin zameenn to kahin aasamaan nahi milta
tere jahaan mein aisa nahi ki pyaar na ho ....
jahan umeed ho iski wahan nahi milta...

************************************************************
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
tadapte dil kil aas ho tum,
bujti jindagi ki sas ho tum,
phir kaise na kahu?kuchh "KHAAS" ho tum....!

************************************************************
Log kahte hain ki hame aadat hain muskurane ki,
Vo kya jane, Ye bhi ek ada hain gam chhupane ki

************************************************************

"Har dil fariyad nahi karta,
Har koi kisiko yaad nahi karta;
Hum bhule tumhe ek palke liye,
Is baat pe dil aetbar nahi karta!"

yaad karke tujhko-e-dost
har khushi kam lagti hai ,
honthon par hansi hai par
aankhen num lagti hain.

yaad karte hai yaaron ko,
yaadon se dil bhar aata hai.
kabhi saath raha karte the sab,
aaj milne ko dil taras jata hai.

************************************************************

Apni to har shaam ek Nashe mein Guzar jati hai
ik din shaam nashe me hongi aur hum guzar jaayenge.

************************************************************

Aankho ki zooban woo samajh nahi paate
honth hain magar hum kuch kah nahi paate.
Apni bebasi kis tarah kahe,
koi hai jis ke bina hum rah nahi paate.

************************************************************

dil gumsum zubaan khamosh,
ye aakhen aaj num kyu hain?
Jinhe kabhi paaya hi na tha,
unhe aaj khone ka gum kyu hai? ----Tanha Dil

No comments: