Wednesday, August 24, 2005

Haan, ab main tanha jeena chahta hun

Haan, ab main tanha jeena chahta hun
sab kuch bhula kar khud se milna chahta hun

zindagi bahut gum diye tune
ab tujhse mil kar hisaab karna chahta hun

aisa nahi ki rishtey saare main tod dunga
sab apno ko main chod dunga

par kisi se ab koi apeksha na hoga
wo pehli si chahat bhi na rahega

ab hawa sirf mere liye chalegi
baarish ki bunde sirf mere liye girengi

sawan mein ab kisi ka intezaar na hoga
tanahi mein bhi kisi ka sath na hoga

ye chiraag ab sirf mere liye jalenge
udas raaton ko roz nai subah ka intezar na hoga

betaab nigaahon mein kisi ka khayaal
na hoga khaali dil mein kisi ka armaan na hoga

mera gum ab sirf mera hoga
kah do khuda se ab wo bhi isme shaamil na hoga

zindagi jahan tu le chale ab main chal dunga
dard k nishaan sabke dilon par chod dunga..

---Tanha Dil

No comments: